Hii
IAM BACK
AJ YEH MERA FRIENDS pappu and sony
k liye likhraha hu
Kaise Jane Pyar Ho Gaya Tarike
Hindi Me
Agar ek ladka aur ladki ek dusre
ko pasand karte hain toh wo
sabse pehale dosti karenge aur
uske baad hi unke bich pyar
hoga. Dono ek dusre ke sath apni
choice aur baatein share karenge.
Pyar se pehale friendship jarur
hoti hai, tabhi toh kaha jata hai
ki pyar ki pehali sidhi dosti hoti
hai. Chaliye jane Kaise Jane Pyar
Ho Gaya Tarike Hindi Me.
cholo friends jante h hum .
yeh pyar kaise hota hai.
Har waqt uske bare
Kaise Jane Pyar Ho Gaya – Agar
aapki jindgi main koi aisa hai jo
aapko ek din bhi dikhayi na de
toh aapke dil main bahut aisi
baatein aane lagti hai. Jinse aapka
dil bechean hone lagta hai aur
man main kayi tarah ki doubt ghir
jati hain jisse aapko ghabrahat ho
jati hai. Iska matlab aap usse pyar
karte hain agar aapko pyar hua
hai toh aap har time uske bare
main sochte rahenge. Isse koi fark
nahi padta ki aap konsi jagah
hain aur konsa kaam kar rahe
hain aap usko chahe office main
ho ya kahi bhi ho aap uske bare
main sochte hoge. Shuruaat main
beshak aap isko ek attraction
samjhe lekin lakh koshis ke
bavjood bhi uski yadon se picha
nahi chuda pa rahe hain toh aap
kisi ke pyar main hain. Bas samajh
jaye ki aapko pyar hua he.
Sirf Achchayi dikh
Kaise Jane Pyar Ho Gaya – Aap
jab kisi ko sabse alag samjhne
lagte hain aur aapko lagta hai ki
wo kabhi koi galat kaam nahi
karega. Wo bahut acha hai aur
sabse alag hain aur aapko bass
uski quality hi dikhayi deti hai toh
bass aap samajh jaye aap pyar
main hain. Uske baare main jab
aapko kuch bhi galat na lage koi
bhi burayi na dikhe. Wo apko
acha lagne laga hai, wo
samajhdari wali baat karta hai
uski har baatein apko achi lagti
hain toh samajh jaye ki aapko
pyar hua he.
Usise milne ke baat karte
Kaise Jane Pyar Ho Gaya – Aapke
jindagi main koi aisa hai jiske bina
jindagi berang he. bina matlab ki
hai aur apki jindagi unke bina
adhuri hai. Pyar hone ke baad us
insaan se ek baar milne ke baad
bhi aapka man dubara milne ka
kare. Ya fir bina kisi vajah aap
usse baat karne ki koshis kare
toh pyar hone ka poora mauka
hai. Pyar main pade logo ko
kewal usi ke sath time gujarna
acha lagta hai, jise wo pyar karte
hain. Ismain koi galat baat nahi
hai kyuki jisse pyar ka plan
banate hain, toh aap pyar main
hain.
Khana pina bhul jaye
Aap koi romantic film dekh rahe
hain aur film main hero ki jagah
khud ko or heroin ki jagah uske
hone ki imagine kar rahe hain.
Aapko bhukh, pyar ka ehasaas hi
na ho aur khane-peene ka dhayan
rakhna bhul jaye. Toh aap
samajhe ki aapko pyar hua he.
Har waqt usi ka ehi
Hur aahat per uske aane ka
ehasaas ho. Mobile ki ghanti bajne
ya miss call aane par aisa lage ki
usne hi call kiya hoga. Aap chahe
jitney der bhi uske sath phone
per baatein karle lekin yahi
mehsoos ho ki kuch reh gaya hai.
Khubsurti ke baarei
Kaise Jane Pyar Ho Gaya – Ab tak
aap akhbaar, magazine main abhi
tak aap rajnaitik, samajik, carrer
extra khabro main roochi lete the.
Par ab suddenly hi aapka interest
fashion, fitness, beauty tips, my
first love, love tips extra padhna
pasand karne lage. Matlab ki
achanak jab aap khubsurti ke
baare me sochne lage to samaj
jaaye ki aapko pyar hua he.
Aapko ye article kaise laga niche
comment me likhiye.
Thank You For Visit
0 comments:
Post a Comment